Sahir Ludhanvi Urdu Poetry Images

Sang e marmar ki tarha sakht badn main tery
aagye hy mery chu leny say narmy kitny

Sehr kareeb hy aur shama bujhnay waly hy
tarap raha hy tera beqarar dekh to lay

Sharma k yu na dekh ada k maqam say
ab bat barh chuky hy haya k maqam say

Choo leny say hota hy tera jism jawan aur
har waqt tery husn ka hota hy saman aur

Sochta hu k muhabat hy bashr ki fitrat
sochta hu k mohabat say hy tabinda hayat

Surkh anchal ko daba kar jo nichora us nay
dil p jalta huwa ik teer sa chora us nay

Taj mehal- ik shehnshah nay dolat ka sahara lay kr
ham ghareebon ki mohabat ka uraya hy mazaq

Dar k bijly say achanak wo liptna uska
aur phir sharm say bal kha k simtna uska