Kesy ghary main tark e safr ka khyal hy
jab ham main lot anay ka yara nahi raha
Jab tak wo benishan raha dastras main tha
khush naam ho gya to hamara nahi raha
Jawaz dhoond raha tha naey mohabat ka
wo keh raha tha k main us ko bhol jaun gy
Jis tarha khwab mery ho gaye reza reza
is trha say na kbhi toot k bikhry koi
Kanp uthty hu main ye soch kr tanhaey main
mery chehray p tera nam na parch lay koi
Kaya qayamat hay k jin k naam par paspa huway
un hi logon ko muqabil main saf ara dekhna
Ik na ik roz to rukhsat karta
muj say kitny he muhabat karta
Dost to kher koi kis ka hy
us nay dushman bhi na smjha logo
2 comments for “Sad Urdu Poetry of Parveen Shakir”