Wo kahen bhi gaya to lota to mery pas aya
bas yahy bat hay achy mery harjaey ky
Wo kya gya k rafaqat k sary lutf gay
main kis say rooth sakun gy kisy manaun gy
Wo muj ko chor k jis aadmy k pas gya
barabry ka bhi hota to sabr ajata
Us ko bhi ham tery koochay main guzar aye hain
zindgy main wo jo lamha tha sanwarny wala
Us ka andaz sukhn sab say juda tha shaed
bat lagty huwy lehja wo mukarny wala
Uqab ko thy gharz fakhta pakarny say
jo gir gae to yun he neem jan chor gya
Tum nay to thak k dasht main khemy lga liye
tanha katay kisy ka safr tum ko is say kya
Tum moj moj misl saba ghoomty raho
kat jayen mery soch k par tumko is say kya
2 comments for “Sad Urdu Poetry of Parveen Shakir”