Sahir Ludhyanvi Famous Love Poetry
Har trha kay jazbat ka elan hain ankhen
shabnam kabhi shola kabhi tofan hain ankhen
Jo ham ko naseehat kary hain wo apna zamana dekh chuky
ab ham par bhi jawani aye hy ham apna zamana kyun choren
Jisy tu dekh lay ik bar mast nazron say
wo umr bhr kabhi hathon main apnay jam na lay
Jawan hu main jawani laghzishon ka aik toofan hay
mery baon main rang e parsaye ho nahi sakta
Jab tumhen muj say zayada hay zamana ka khyal
phir mery yad main yun ashk bahaty ku ho
Itny haseen itny jawan rat kya karen
jagay hain kuch ajeeb say jazbat kya karen
Jo ham main hy wo matwaly ada sab main nahi hoty
mohabat sab main hoty hy wafa sab main nahi hoty
Jo tery dil ko lubha lay wo ada muj main nahi
kyun na tuj ko koi tery he ada pesh karu