Love Poetry in Urdu with Pictures

Jab tumhen muj say zayada hay zamana ka khyal
phir mery yad main yun ashk bahaty ku ho

Na us ky bat main samju na wo mery nazren
muamlat zuban ho chalay hain mubham phir

Jawan hu main jawani laghzishon ka aik toofan hay
mery baon main rang e parsaye ho nahi sakta

Paltany ka irada ho saky to tum bhi kar lo
ye bazi aj tak dil nay kabhi hary nahy hy

Jisy tu dekh lay ik bar mast nazron say
wo umr bhr kabhi hathon main apnay jam na lay

Qabooliyat ki hay saat to us ko mang he lay
k ye ghary kabhi bar digr nahy aty

Jo ham ko naseehat kary hain wo apna zamana dekh chuky
ab ham par bhi jawani aye hy ham apna zamana kyun choren

Qasoor ho to hamaray hisab main likh jaye
muhabaton main jo ihsan ho tumhara ho
2 comments for “Love Poetry in Urdu with Pictures”