Love Poetry in Urdu with Pictures

Ham intazar karen gay tera qayamat tak
khuda kary k qayamat ho aur tu aye

Main apnay hisay k sukh jis k nam kr dalun
koi to ho jo muj is trha ka pyara ho

Ham nay dil day bhi dia ehd e wafa lay bhi liya
ap ab shoq say dy len jo saza dety hain

Mery weeran dareechon main b khushboo jagay
wo mery ghar k daro bam sajany aye

Har trha kay jazbat ka elan hain ankhen
shabnam kabhi shola kabhi tofan hain ankhen

Mojen baham huwy to kinara nahi raha
aankhon main koi khwab dobara nahi raha

Itny haseen itny jawan rat kya karen
jagay hain kuch ajeeb say jazbat kya karen

Muj ko takmeel samajny wala apny
miyar main badla k nahy
2 comments for “Love Poetry in Urdu with Pictures”