Love Poetry in Urdu with Pictures

Chalay ao k ab mun pher kr janay say kya hoga
jo tum par mar mita us dil ko tarpany say kiya hoga

Jab banam dil gawahy sar ky mangy jaye gy
khoon main dooba huwa parcham hamara dekhna

Chand kalyan nishat ky chun kr
mudaton mehway yas rehta hun

Kabhi kabhar usay dekh lain kahin mil lain
ye kab kaha tha k wo khush badan hamara ho

Choo leny say hota hy tera jism jawan aur
har waqt tery husn ka hota hy saman aur

Kabhi kabhi to dil e muztarib ye chahta hy
k chand rat ho aur samnay samandar ho

Chupa chupa kay khamoshy main apny becheny
khud apnay raz ki tash’heer ban gae ho tum

Kabhi kabhi wo hamen be sabab bhi milta hy
asar huwa nhy us par abhi zamany ka
2 comments for “Love Poetry in Urdu with Pictures”