Love Poetry in Urdu with Pictures
Phir kho na jayen ham kahen dunya ky bheer main
milty hy pas anay ky mohlat kabi kabhi
Wo narm lehjay main kuch to kahay k lot aaye
sma’ton ky zamen par phawaar ka mosam
Poch kr apny nigahon say bata day muj ko
mery raton k muqadar main sehr hy k nahy
Wo samandar hy to phir rooh ko shadab karay
tashangy kyun muj deta hy sarabon ky tarha
Sab main shamil ho magr sab say juda lagty ho
sirf ham say hi nahi khud say bhi khafa lagty ho
Wo to khusbhoo hy hawaon main bikhr jaye ga
masla phool ka hy phool kidahr jay ga
Sang e marmar ki tarha sakht badn main tery
aagye hy mery chu leny say narmy kitny
Ye dil muyasar o mojood say behlta nahi
koi to ho jo mery dastras say bahir ho
2 comments for “Love Poetry in Urdu with Pictures”