
Kuch ye k mudaton say roye nahi thay ham bhi,
kuch zehr main bujha tha ahbab ka dilasa

Kuch to us ankh ka shewa hy khafa ho jana,
aur kuch bhool huwy hy dil e betab say bhi

Kuch der gham e jahan p hans len ao,
ronay to to zindgy pary hy saqi

Kisy bewafa ky khatir ye junoon faraz kab tak,
jo tumhen bhula chuka hy usay tum bhi bhool jao

Kis kis ko batayen gay judaye ka sabab ham,
tum muj say khafa hy to zamany k liye a

Kis kis ko apny rafaqat p zam hy,
hota hy kon kon juda dekhtay raho

Kis kay shehr main ki guftagoo hawaon say,
ye soch kar ka kahen as pas tha wo bhi

Khud ko yun mehsoor kar betha hun apnay ap main, manzilen charon taraf hain rasta koi nahi