Ahmed Faraz sad Urdu Poetry

Phaty phaty huwy ankhon say yun na dekh muj,
tuj talash hy jis shaksh ki wo mar bhi gya

Namurady ka ye alam hy k ab yad nahi
, tu bhi shamil tha kabhi mery tamanaon main

Munsif ho agar tum to kab insaf karo gay,
mujrim hain agar ham to saza kyun nahi dety

Muj to khud apnay ap p sharmindgy huwy,
wo is trha k tuj p bharosa bala ka tha

Mery sukhan ka qareena dabo gya mujh ko,
k jis ko hal sunaya usay fasana laga

Mery dil main kaye ghao aisay bhi hain,
jin ka darman tery dastras main nahi

Mery daman k muqadar main hy khaly rehna,
ap sharminda na hon dast e karam say apnay

Mery afsurdgy say pareshan na ho,
tu mery talkhyon ka sabab to nahi