
Main zindgy say nabard azma raha hun faraz,
main janta tha yahi rah ik bachao ky hy

Main zakhm zakhm us say galay mil k kyun huwa,
wo dost tha to soorat e shamsheer kon tha

Main tuj kho k b zinda hu ye dekha tu nay,
kis qadar hosla haray huwy insan main hy

Main nay dekha baharon main chaman ko jalty,
hy koi khwab ki tabeer batany wala

Main kya karoon mery qatil na chahnay par bhi,
tery liye mery dil say dua nikalty hy

Main khud ko bhool chuka tha magar jahan waly,
udas chor gaye ayena dikha k muj

Magar kisy nay hamen ham safar nahi jana,
ye aur bat k ham sath sath sab k gaye

Kya qayamat hy k jin k liye ruk ruk kar chalay,
ab wohy log hamen abla pa kehty hain