
Shama ki lo thy k wo tu tha magar hijr jy rat,
der tak rota raha koi sarhany mery

Shab e faraq to kat’ty nazar nahi aty,
khayal yar main ao faraz so jayen

Samjha rahay thay mujh ko sabhi nasehan shehr,
phir rafta rafta khud usy qatil k ho gye

Samaye phir na dunya ki nazar main,
na janay kis bulandy say giry hain

Ro rahay hain k aik adat hy,
warna itna nahi milal hamen

Ro para hu to koi bat he aisy ho gy,
main k waqif tha tery hijr k adas say bhi

Qurbaton main bhi judaye k zamany mangay,
dil wo be mehr k ronay k bahany mangay

Phir yun huwa k gher ko dil say lga liya,
andar wo nafraten then k bahir k ho gye