
Ye zakhm hain un dinon ky yad,
jab ap say dosty bary thy

Yun he mosam ki ada dekh k yad aya hy,
kis qadar jald badal jaty hain insan janan

Zabt lazim hy magr dukh hy qayamat ka faraz,
zalim ab k bhi na roye ga to mar jaye ga

Zindgy ham tery daghon say rahay sharminda, aur tu hy kay sada ayena khanay mangay

Ab aur kya kisy say marasim barhayn ham,
ye bhi bohat hy tuj ko agar bhol jayen ham

Ab bhi wesy hy doory e manzil,
sath chalta ho rasta jesy

Ab k aisy andhyan uthen k sooraj buj gaye,
haye wo shamen k jhonkon say bhi then na ashna

Ab na fursat hy na ehsas hy gham say apnay,
warna ham roz he miltay thy sanam say apnay