
Dil ki baton p kon jaye faraz,
aisay dushman ka dost kya hona

Dasht ghurbat main tumhen kon pukary ga faraz,
chal paro khud he jidhar dil ki sada ly jaye

Dard mandon ko kahen bhi to qarar a na saka,
koi sehra ho k ghar ronay k ady roye

Chup chap apny ag main jalty raho faraz,
dunay to arz e hal say be abroo kry

Charagh bujhaty he rehtay hain par jo ab kay huwa,
usay hawaon ka deewana pan kaha jaye

Chand lamhon k liye tu nay masehaey ky,
phir wahi main hu wohi umr hy tanhai ky

Chahay umeed ki shamen hon k yadon k charagh,
mustaqil ba’ad bujha deta hy rafta rafta

Badan main ag hy chehra ghulab jesa hy,
k zehr e gham ka nasha bhi sharab jesa hy