Ahmed Faraz Sad Urdu Poetry
Ham bhary shehron main bhi tanha hain janay kis tarha,
log weranon main kar lety hain peda ashna
Go tark e taluq tha magar jan pay bany thy,
martay jo tuj yad na kartay koi din aur
Go dukhy dil ko bohat ham nay bachaya phir bhi,
jis jaga zakhm hon wan chot sada lagty hy
Ghaneemant hy jo hans k bat kar len,
hamen mat cherye ham sar phiry hain
Gham e dunya bhi gham e yar main shamil kar lo,
nasha barhta hy sharaben jo sharabon main milen
Garcha ab qurb ka imkan hy boht kam phir bhi,
kahen mil jayen to tasweer numa ho jana
Din ka dhaltay he ujar jaty hain ankhen aisay,
jis trha sham ko bazar kis gaon ka