Us nay dekha he nahy warna ye ankh
dil ka ahwal kaha karty hy
Wo jab aye ga to phir us ky rafaqat kay liye
mosam e gul mery aangan main utar jaye ga
Wo mera nam liye jaye aur main us ka nam
lahoo main gooj raha hy pukar ka mosam
Wo narm lehjay main kuch to kahay k lot aaye
sma’ton ky zamen par phawaar ka mosam
Wo samandar hy to phir rooh ko shadab karay
tashangy kyun muj deta hy sarabon ky tarha
Wo to khusbhoo hy hawaon main bikhr jaye ga
masla phool ka hy phool kidahr jay ga
Yun dekha usay k koi dekh he na lay
inam to acha tha magr shart kary hy
Ye itny rat gaye kon dastken dy ga
kahen hawa ka he us nay na roop dhara ho