
Kabhi kabhar usay dekh lain kahin mil lain
ye kab kaha tha k wo khush badan hamara ho

Kabhi kabhi to dil e muztarib ye chahta hy
k chand rat ho aur samnay samandar ho

Kabhi kabhi wo hamen be sabab bhi milta hy
asar huwa nhy us par abhi zamany ka

Kahen rahay wo magar kheriat k sath rahay
uthay hath to yad aik he dua aye

Main apnay hisay k sukh jis k nam kr dalun
koi to ho jo muj is trha ka pyara ho

Lafz barhy aur wady phely dil ky hikayat khatm huwy
wahan hawas ka phan lehraya jahan mohabat khatm howy

Ku ba ku phel gae bat shanasaye ky
us nay khushboo ky trha mery pazeraey ky

Kanp uthty hu main ye soch kr tanhaey main
mery chehray p tera nam na parch lay koi