Jab lahoo bol pary us kay gawahon kay khilaf
qazi e shehr kuch is bab main irshad kary
Herat say dekhta hy samandar mery tarf
kashty main koi bat hay ya badban main hy
Main dhal liye simat e adoo dekh rahy thy
palty to mery pusht p talwar gary thy
Mumkin hay bagh ko bhi nikalty ho koi rah
is shehr bay shajar to bohat besamar na jan
Raston ka ilm tha ham ko na simton ky khabr
shehr namaloom ki chahat magr kartay rahay
sar chupayn to badn khulta hy
zeest muflis ky rida ho jesy
ronaq e bazar o mehfil kam nhy hy aj bhi
sanha is shehr main koi mgr hony ko hy
Zulm sehna bhi to zalim ky himayat thehra
khamshy bhi to huwy pusht panahy ky tarha