Naat-e-Rasool-Ba-ihtiat-aqeedat-ba-chasham-e-tar-kehna

Naat-e-Rasool-Ba-ihtiat-aqeedat-ba-chasham-e-tar-kehna

Ba ihtiat aqeedat ba chasham e tar kehna, Saba Hazoor se hal e dil o nazar kehna, hisar e jabar main hu aur yahan se bhi hijrat, main janti hu ke mumkin nahi magar kehna, main khak e shehr madina pehn ke jab niklun, tu muj se barh ke koi hoga motbar kehna, ye arz karna ke aaqa meri bhi sun lejiye, bajiz tumhary nahi koi chara gar kehna, apni palkon likhti hu harf e nam e rasool, muj bhi agya likhnay ka ab hunar kehna, ye kehna ab to hamen tab intazar nahi, ke ham karen ge madinay ka kab safar kehna

Leave a Reply