Tuj ko ehsas he kab hy kay kisi dard ka dagh,
ankh say dil main utar jaye to kya hota hy
Tuj udas bhi karna tha khud bhi rona tha,
ye hadsa bhi meri jan kabhi to hona tha
Tu kay seemab e tabyat hy tuj kya maloom,
mosam e hijr thehr jaye to kya hota hy
Tu khafa hy to dil say yad teri,
kis liye mehrban guzarty hy
Tum kahan jao gay aye mohsin,
log thak har kay ghar jatay hain
Us say kya pochna safar ki thakan,
jis ki manzil he rahguzar thehray
Wo muj se barh kay zabt ka aadi tha jee gya,
warna har aik sans qayamat usay bhi thi
Ye hadsa sar e sahil rula gya sab ko,
bhanwar main doobnay walon kay hath bhi na hilay
Ab kay wo rut hy kay har taza qayamat ka azab,
apnay dil main jagtay zakhmon ki har gehraye kay nam