Mohsin main usay keh na ska yun bhi hal e dil,
darpesh aik taza museebat usay bhi thy
Mot ka sath chornay kay liay,
zindgi bohat door tak gaye ho gy
Muj say bichar kay shehr main ghul mil gya wo shakhs,
halankay shehr bhar say adawat usy bhi thi
Najanay kitany jahanum badan main utren gay,
hamary sar say azab e hayab talnay tak
Sab kay honton pay mery bad hain baten meri,
mery dushman meri baton kay bhikari niklay
Shab girati hy bijlian dil par,
subha aatish bajan guzarty hy
Sunta tha sab say wo bhi purani kahanian,
shayed rafaqton ki zrurat usay bhi thy