Raas aa he gya tarq e taluq usay aakhir,
aankhon main wo pehly si nidamat nahi rakhta
Tark e wafa ki sari qasmen un ko dekh kay toot gayen,
un ka naz salamat thehra ham he zara majboor huwy
Tuj say peman bandhta tha aur ye socha na tha,
apni aankhon ki tarha har pal badalna hy tuj
Tumhara jhoot sach say mutbar hy,
mery haq main bhi kuch irshad karna
Us kay qadmon main bicha doon aankhen,
mery basti say wo guzray to sahi
Wo bazahir jo zamanay khafa lagta hy,
hans kay bolay to dunya say juda lagta hy
Wo bhi kya din thay bhula kar tuj ko,
ham tuj yad kia kartay thay
Wo yaqeen hy to muj p afshan ho,
main rahoon khud say badguman kab tak