time poetry in urdu by Nasir Kazmi
Time poetry in urdu by Nasir Kazmi contains verses of his poetry that relate to time, friendship and importance powers beyond human control. His poetry carries the power of emotions and time tested maxims to convince us of his rhetoric about the importance of time.
Aisa ulja hun gham e dunya main,
aik bhi khwab e tarab yad nahi
Daim abad rahe gee dunya,
ham na hongay koi ham sa hoga
Dil main har waqt chubhan rehti thi,
thi muj kis ki talab yad nahi
Din guzara tha bari mushkil se,
phir tera wada e shab yad aya
Kise majal ke ruk jaye sans lenay ko,
rawan dawan liye jata hy waqt ka dhara
Tu kis khyal main hy manzilon ke shedai,
unhen bhi dekh jinhen rastay main neend ayee
Waqt ke sath ham bhi aye nasir,
khar o khas ki tarha bahaye gaye
Ye haqeeqat hy ke ahbab ko ham,
yad he kab thay jo ab yad nahi