Social Urdu Poetry of Sahir Ludhyanvi

Pages: 1 2 3 4 5 6

Koi hasrat na rakh ye dunya char din ky hy jawani moj drya hy jawani phir na aye gy

Koi hasrat na rakh ye dunya char din ky hy
jawani moj drya hy jawani phir na aye gy


Koi nahy jo bojh utha lay apny zinda lashon ka khatm he kar day aj afsana in bedard tamashon ka

Koi nahy jo bojh utha lay apny zinda lashon ka
khatm he kar day aj afsana in bedard tamashon ka


Kuch aur barh gaye hain andheray to kya huwa mayoos to nahy hain taloo e shehr say ham

Kuch aur barh gaye hain andheray to kya huwa
mayoos to nahy hain taloo e shehr say ham


Lay de k apnay pas faqt ik nazar to hy ku dekhy zindgy ko kisy ky nazar say ham

Lay de k apnay pas faqt ik nazar to hy
ku dekhy zindgy ko kisy ky nazar say ham


Log aurat ko faqat jism samjh lety hain rooh bhi hoty hay is main ye kahan sochty hain

Log aurat ko faqat jism samjh lety hain
rooh bhi hoty hay is main ye kahan sochty hain


Mana k is zameen ko na gulzar kar saky kuch khar kam to kar gaey guzray jidhar say ham

Mana k is zameen ko na gulzar kar saky
kuch khar kam to kar gaey guzray jidhar say ham


Mery umedon ka hasil mery kawish ka sila aik benam azeyat k siwa kuch b nahy

Mery umedon ka hasil mery kawish ka sila
aik benam azeyat k siwa kuch b nahy


Muflisy his e latafat ko mita dety hay bhook adab kay sanchon main nhi dhal sakty

Muflisy his e latafat ko mita dety hay
bhook adab kay sanchon main nhi dhal sakty


2 comments for “Social Urdu Poetry of Sahir Ludhyanvi

Leave a Reply