Social Political issues urdu poetry Saghar Siddiqui

Ham ulat dety hain sadyon ke niqab,
ham zamanon ki khabar rakhtay hain

Har ik zehn main he khudai ka dawa,
har ik aasteen main sanam so rhy hain

He nakhuda ka meri tabahi se wasta,
main janta hun neeyat e darya buri nahi

Ishq behroopia hy aye saghar,
roop ne sadgi ko bech dia

Jagmagaty hain wahshaton ke dayar,
aqal ne admi ko bech dia

Jis ehd main lut jaye faqeeron ki kamayee,
us ehd ke sultan se kuch bhool huwy hy

Kanton se ahtjaj kia he kuch is trha,
gulshan ki dal dal pe ham raks kar gaye

Kuch zameenon ke sitaray saghar,
aasmanon ki khabar rakhtay hain

Laga koi zarb is ada se ke toot jayen dilon ki mohren,
teri qasam tang agye hain sakoot e panhan se log saqi

Log kehtay hain rat beet chuki,
muj ko samjao main sharabi hun