Social Issues Poetry in Urdu with Pictures

Jo mil gya usko muqdar samj liya
jo kho gya main us ko bhulata chala gya

Dunya ki mehfilon say ghabra gya hu ya rab,
kya lutf anjuman ka jab dil he bujh gya ho

Jitny kam sachaey hogy utny hogy araesh
jab mazmoon say lafz hon zayd samjo ibarat khatm huwy

Kab talak ankh na kholy ga zamany ga zameer
zulm aur jabr ki ye reet chalay gy kab tak

mery awaz ky talkhy ko gawara kr lay
mery gustakh sawalon say preshan na ho

Kaya qayamat hay k jin k naam par paspa huway
un hi logon ko muqabil main saf ara dekhna

Koi hasrat na rakh ye dunya char din ky hy
jawani moj drya hy jawani phir na aye gy

Ehd e hazir ky hawa ras nhy hy usko,
apnay nuqsan ka andaza nhy hy usko