Social Issues Poetry in Urdu with Pictures

Be watan kehlaye apnay des main
apnay ghar main reh k be ghar ho gaye

Faqeer e shehr k tan par libas baqy hy
amer e shehr k arman abhi kahan nikly

tamam shehr main ab to hy raj kanton ka
muj qabool nhy ye smaj kanton ka

Bhariay muj ko kahan pa saktay
wo agr mery hifazat krta

Fitrat ki musheyat bhi bary cheez hy lakin
fitrat kabhi bebas ka sahara nhy hoty

Badla zamana aisa kay larka pas az sabq,
kehta hy master say k bil pesh kijye

Dil sab kay mushtrik thay magr hoslay juda
koi bikhar gya to koi muskra dia

Gharz parst jahan main wafa talash na kar
ye shay bany hy kisy dosry jahan k liye