
Shamil hy mera khoon jigr tery hina main
ye kam ho to ab khoon e wafa sath liye ja

Umr bhar rengty rehny ki saza hy jena
aik do din ki aziyat ho to koi seh lay

Unhen apna nhy sakta magr itna bhi kya kam hy
k kuch mudat haseen khwabon main reh kr g liya main nay

Wo bewafa hain ab bhi ye dil manta nahi
kam bakht na samj hy unhy janta nahy

Wo kanwal jin ko kabhi un k lye khilna tha
un ky nazron say bohat dor bhi khil saktay hain

Zamanay bhar main hain charchay mery tabahy k
main dar rha hu kahi koi tra nam na lay