
Khudawanda! Ye tery sada dil bandy kidhar jayen,
kay darwesy bhi ayary sultani bhi ayari

Kon kehta hy k halat p tanqeed na kr
hukmranon k ghalt dawon ky tardeed na kr

Main bulbul e nalan hoon ik ujray gulistan ka,
taseer ka sail hoon mohtaj ko data day

Lakh bethay koi chup chup k kamen gahon main
khun khud deta hy jaladon kay maskan ka suragh

Milat kay sath rabta istwar rakh,
pewasta reh shajar say umeed e bahar rakh

Tum nay jis khun ko maqtal main chupana chaha
aj wo kucha o bazar main anikla hy

Tameez hakim o mehkoom mit nhy skty,
majal kya k gadagar ho shah ka hamdosh

Tuj us qoam nay pala aghosh e mohabat main,
kuchal dala tha jis nay paun main taj e sardaran
1 comment for “Political Issues Poetry in Urdu with Pictures”