parveen shakir famous poetry
”

Wo narm lehjay main kuch to kahay k lot aaye
sma’ton ky zamen par phawaar ka mosam

Sukh tery miras thay tuj ko milay
dukh hamary thay muqadar ho gaye

Wo samandar hy to phir rooh ko shadab karay
tashangy kyun muj deta hy sarabon ky tarha

Tark e ulfat k bad umeed wafa
rayt p chal saky hy nao kabhi

Wo to khusbhoo hy hawaon main bikhr jaye ga
masla phool ka hy phool kidahr jay ga

Tera khayal kr k main khamosh ho gaye
warna zuban e khalq say kya kya nahy suna

Ye dil muyasar o mojood say behlta nahi
koi to ho jo mery dastras say bahir ho

Ye itny rat gaye kon dastken dy ga
kahen hawa ka he us nay na roop dhara ho
“
2 comments for “parveen shakir famous poetry”