parveen shakir famous poetry
”

Usy koochy main kae us k shanasa bhi to hain
Wo kisy aur say milnay k bahany aye

qurya jan main koi phool khilany aye
wo mery dil p nya zakhm lagany aye

Utar rahy hain ajab khusbhuyen rag o pay main
ye kisy choo k mery sheher main hawa aye

ronaq e bazar o mehfil kam nhy hy aj bhi
sanha is shehr main koi mgr hony ko hy

Wo jab aye ga to phir us ky rafaqat kay liye
mosam e gul mery aangan main utar jaye ga

Sapurd kar ka usay chandny kay hathon main
main apny ghar kay andheron ko lot aun gy

Wo mera nam liye jaye aur main us ka nam
lahoo main gooj raha hy pukar ka mosam

sar chupayn to badn khulta hy
zeest muflis ky rida ho jesy
“
2 comments for “parveen shakir famous poetry”