Wo jis ka harf e dua roshni hy mery liye,
main bujh bhi jaun to mola ujal de usko
Us shehr main kitnay chehray thay kuch yad nahi sab bhool gaye,
ik shakhs kitabon jesa tha wo shakhs zubani yad huwa
Us ne hans ke dekha to muskura diye ham bhi,
zat se nikalny main der kitni lagti hy
Tu ne dekha nahi palat ke hamen,
warna ham mehrban ho jatay
Tumhari yad ki dunya main din se rat karun,
kisi ki bat chalay main tumhary bat karu
Tum apni sanson se meri sansen alag to karny lagay ho lakin,
jo kam aasan samj rahy ho wo kam mumkin nahi rahy ga
Tuj se milnay aur bicharnay ke liye,
saray khadshay sanbhal kar rakhay
Tamam umar taluq se munharif bhi rahy,
tamam umar usi ko magar bachaya hy