Kabhi roye kabhi tuj ko pukara,
shab e furqat badi mushkil say guzri
Kahan hy tu kay tery intazar main aye dost,
tamam rat sulagty hain dil kay weerany
Kahan se layee ab us nigah ko nasir,
jo natamam umangen dilon main chod gayee
Kahan tak tab laye natwan dil,
kay sadmay ab musalsal ho gaye hain
Kya se kya ho gayee dunya pyary,
tu wahen par he jahan tha pehlay
Mera dil khoogar e toofan he warna,
ye kashti barha sahil say guzri
Nasir ham ko rat mila tha tanha aur udas,
wahi purani baten us ki wahi purana rog