Din bhi udas aur meri rat bhi udas,
aisa to waqt aye gham e doran kabhi na tha
Hal e dil ham bhi sunatay nasir,
jab wo rukhsat huwa tab yad aya
Hawaye subha nay chonka dia yun,
teri awaz jesy choo kay guzri
Hoti hy teray nam se wehshat kabhi kabhi,
barham huwi hy yun bhi tabiyat kabhi kabhi – Nasir Kazmi
Jahan koi basti nazar aagye,
wahen ruk gaye ajnabi qaflay
Jinhen ham dekh kar jeetay thay nasir,
wo log aankhon se ojhal ho gaye hain
Joshe janun main dard ki tughyanion kay sath,
ashkon main dhal gaye teri soorat kabhi kabhi
Kabhi kabhi jo tery qurb main guzaray thay,
ab un dinon ka tasawur bhi mery pas nahi