Marnay waly martay hain lakin fana hotay nhy,
ye haqeeqat main kabhi ham say juda hotay nahi
Khudi ko kar buland itna k har taqdeer say pehlay,
khuda banday say khud poochay bta tery raza kya hy
Koi qabil ho to ham shan kai dety hain,
dhondny waly ko dunya b nai dety hain
Jo hay pardon main panha chashm e beena dekh lety hy,
zamany ky tabyat ka takaza dekh lety hai
Huwy jo chashm mazahir parst wa aakhir,
to paya khana e dil main usay(God) makeen main nay
Elahi! Phir maza kya hy yahan dunya main rehny ka,
hayat e jawden mery na marg e nagahan mery
Fida karta raha dil ko haseenon ky adaon pay,
mgr dekhy na is aaeny main apny ada tu nay
Hazar khof hon lakin zuban ho dil ky rafeeq,
yahy hy azal say qalandron ka tareeq