Mohsin Naqvi Political Religious Poetry: Like any other great poet, the poetry of Mohsin Naqvi does carry political and religious significance. It is meaningful, critical and enlightening. He highlights general issues created generally by the poor situations created by the mere anarchy loosed upon the world by the corrupt political setups. Every poet does get personal and emotional in poetry and at times he does pray, complain, request and beseeches God Almighty for favors and grace.
Let us enjoy the great poetry selection of Mohsin Naqvi from religious and political poetry.

Ab to mohsin kay tasawur main utar rab e jaleel,
is udasi main to pathar bhi khuda lagta hy

Aaj bhi ehd e guzishta ki har ik yad kay sath,
sans letay hain to barood ki bu ati hy

Ham say shab e khoon ki dastan poocho,
shehr waly to bekhabar thehry

Har dor e besada main har ik zulm kay khilaf,
ham ko he bolna tha ke tasweer ham na thay

Mohsin ghareeb log bhi tinkon ke dher hain,
malbay main dab gaye kabhi pani main beh gaye

Sab ahl e shehr phir dar e dushman pay jhuk gaye,
mohsin khula kay shehr ki taqdeer ham na thay

Shehr ki bheer main kahan khultay hain us kay naqoosh,
aao tanhai main sochen kay wo kya lagta hy

Ye ahd e malamat hy karo fikar saron ki,
dastar to koi bhi salamat nahi rakhta