Be khudi be sabab nahi ghalib,
kuch to hy jis ki parda dari hy
Ishq ne ghalib nikama kar dia,
warna ham bhi admi thay kam ke
Mat pooch ke kya hal hy mera tery pechy,
tu dekh ke kya rang he tera mery agay
Nikalna khald se adam ka suntay aye hain lakin,
bohat be aabroo ho kar tery koochay se ham niklay
Peenay de sharab masjid main beth ke,
ya wo jaga bata jahan par khuda nahi
Ragon main dorty rehny kay ham nahi qayal,
jo ankh he se na tapka wo lahoo kya hy
Ronay se aur ishq main be bak ho gaye,
dhoye gaye ham aisy ke bas pak ho gaye
7 comments for “Mirza Ghalib Selected Love Poetry”