Khuda wo waqt na laye k sogwar ho tu
sakun ki neend tuj bhi haram ho jaye (Mirza Ghalib-Love Poetry)
Lagay gar sang sar par yar kay dastay nigaren say, bajaye zakhm,
gul bar gosha dastar peda ho(Mirza Ghalib-Love Poetry)
Lo wo bhi kehtay hain kay ye be nanag o nam hy,
ye janta agar to lutata na ghar ko main(Mirza Ghalib-Love Poetry)
Main jo kehta hun k ham lain gay kayamat main tuj,
kis raoonat say wo kehtay hain k main hoor nahi(Mirza Ghalib-Love Poetry)
Wafa kesy kahan ka ishq jab sar phorna thehra,
to phir aye sangdil tera he sang astan kyun ho(Mirza Ghalib-Love Poetry)
Tum say beja hy muj apny tabahy ka gila,
us main kuch shaba khoobiye taqdeer bhi tha(Mirza Ghalib-Love Poetry)
Qasid kay atay atay khat ik aur likh rakhoon, main janta hun,
jo wo likhen gay jawab main(Mirza Ghalib-Love Poetry)
Tery waday par jiye ham, to ye jan jhoot jana,
kay khushy say mar na jaty agar aetbar hota(Mirza Ghalib-Love Poetry)
Yahi hy azmana to satana kis ko kehtay hain,
adoo kay ho liye jab tum to mera imtehan kyun ho(Mirza Ghalib-Love Poetry)
Zulm karna gadaye aashiq par,
nahi shahan husan ka dastoor(Mirza Ghalib-Love Poetry)
7 comments for “Mirza Ghalib Selected Love Poetry”