Kehnay ko to main bhool gya hun magr aye yar,
hey khana e dil main tery tasweer abhi tak-Hasrat Mohani Love Poetry
Khurd ka nam junoon par gya junoon ka khurd,
jo chahay ap ka husn e karishma saz kary-Hasrat Mohani Love Poetry
Mazhab e ishq hy prastish e husn,
ham nahi jantay sawab o azab-Hasrat Mohani Love Poetry
Mery ruswai sy shikwa hy un kay husn ko,
ab jisay dekho wo mera mubtala hony laga-Hasrat Mohani Love Poetry
Muj ko itna he tum ans huwa,
jis qadar tum ko ijtanab huwa-Hasrat Mohani Love Poetry
Nigah e yar jisy ashnaye raz kary,
wo apni khoobiye qismat p kyu na naz kary-Hasrat Mohani Love Poetry
Parh kay tera khat mery dil ki ajab halat huwy,
iztarab e shoq nay ik hashr barpa kar dia-Hasrat Mohani Love Poetry
Pas aao to kuch dil ki tapish aur siwa ho,
har chand kay tum dard e judai ki dawa ho-Hasrat Mohani Love Poetry