The beautiful poem of Munir Niazi: Kisi Ko Apnay Amal Ka Hisaab Kya Detay (کسی کو اپنے عمل کا حساب کیا دیتے)
Kisy Ko Apnay Amal Ka Hisab Kya Detay ?
Sawal Saaray Ghalat Thay Jawab Kya Detay ?
Kharab Sadyon Ki Be Khwabiyan Theen Aankhon Main
Ab In be-ant Khala’on Main Khwaab Kya Detay ?
Hawa Ki Tarha Musafir Thay Dilbaron Kay Dil
Unhain Bus Aik Hee Ghar Ka Azab Kya Detay ?
Sharaab Dil Ki Talab Thi Sharaa Kay Pehray Main
Hum Itni Tangi Main Us Ko Sharaab Kya Detay ?
Munir Dasht Shuroo Se Sarab Aisa Tha
Us Aainay Ko Tamanna Ky Aab Kya Detay?
Keep enjoying and do share it on social media if you like the work.