Habib Jalib Social Poetry
Habib Jalib Social Poetry
Ab rahen chain say bedard zamany waly,
so gaye khwab say logon ko dikhany walay
Aisay ilfaz na auraq e lughat main hon gay, jin say insan ki toheen ka pehloo niklay, aisay afqar bhi zinda na rahen gay jin say,
chand logon he ki taskeen ka pehloo niklay
Guman tum ko k rasta kat raha hy,
yaqeen muj ko k rasta kho rahay ho
Hamen yaqen hy k insan us ko payara hy,
khuda tumhara nahi hy khuda hamara hy
Kisy ka haq hy samandar p aur koi payasa,
ye kya hay kyun hy ye alam ye sochtay hain ham
In bastyon main rasm wafa khatm ho chuky,
aye chashm nam kisy say na kar arz gham yahan