Habib Jalib Political Poetry
Habib Jalib Political Poetry
Ab rahen chain say bedard zamany waly,
so gaye khwab say logon ko dikhany walay
Asool bech kay masand khreednay walo,
nigah ahl e wafa main bohat haqeer ho tum,
watan ka pas tumhen than a ho sakay ga kabhi, k apny hirs kay banday ho bezameer ho tum
Deep jiska mehlat he main jalay,
chand logon ky khushyon ko lay kar chalay…
aisay dastoor ko main nahi manta
Dewaron main sehmay bethay hain kya khoob mily azady,
apnon nay bahaya khoon apna ham bhool gaye beganon ko
Kisay khabr thy hamen rahbar he looten gay, baray khaloos say ham karwan kay sath rahy, niga dohr main daray sahi ham log,
zia ki bheek nahi mangtay sitaron say
Kisy ka haq hy samandar p aur koi payasa,
ye kya hay kyun hy ye alam ye sochtay hain ham
Lakh kehtay rahen zulmat ko na zulmat likhna,
ham nay seekha he nahy payary ba ijazat likhna
Mery hath main qalam hy, mery zehn main ujala,
muj kya daba sakay ga koi zulmaton ka pala,
main tuloo ho raha hun
tu gharoob honay wala