Meri halat pe tum herat zada thay,
tumhen bhi dasht akhir bha gya na
Kisi parinday ka chota sa ghonsla hy yahan,
hawa se keh de ke shakhon ko be qarar na kar
Kisi ki ankhon main aisa jawab likha tha,
Batool honton se koi sawal phir na huwa
Kal faqeeron ko taj choomy ga,
badshahi ka gur to any do
Kaha tha hijr palkon se na chun’na,
amawas ankh main thehra gya na
Jo darmyan uthaye hain a ke logon ne,
wo apnay hath se dewar tum gira dalo
Go us ne khar bichaye nahi hain rastay main,
magar wo un ko hatanay bhi to nahi deta
Chalay to jao magar waqt par palat ana,
kahen na aisa ho rastay main sham kar dalo