
Sehra ka abar ke liye barson kia tawaf,
ankhen wazoo he kar saken bas is qadar mila

Sawa nezy pe sooraj agya hy,
shajr ka wo ghana saya gya na

Sath rehta to taluq ke dareechay khultay,
waqt ne sath nibhanay ki bhi mohlat nahi di

Rafoo gari ka agar fan tuj nahi ata,
gulab hath main le ke tu tar tar na kar

Phir is ke bad tumhen aur kuch na bhaye ga,
hamaray chehray ko dekho kitab rehny do

Muqadar phir se aray agya na,
gulab is bar bhi murjha gya na

Muhabaton main ana rukawat,
zawal is ka kamal ho ga

Muhabaton ki tijarat se ham ko kya lena,
faqat khasara hy is main janab rehny do