Shikwa e zulmat e shab say to kahin behtar tha,
apnay hisay ki shama jalatay jatay
Sakoot e behr say sahil larz raha hy magar,
ye khamshy kisi toofan ki alamat hy
Rafta rafta yahi zindan main badal jatay hain,
ab kisi shehr ki bunyad na daly jaye
Ye kya kay ahl e hawas bhi sajaye phirty hain,
dilon pay dagh jabeen par lahoo hamary tarha
Yahi kaha tha mery ankh dekh sakty hy,
to muj pay toot para sara shehr nabeena
Wo qeht e haq hy kay is ehd main faraz,
khud sa gunahgar bhi paymber lagay muj
Waqt nay sath diya hy kis ka,
g main jo aye sada kar guzro