
Mery charagh to sooraj k ham asar niklay,
ghalat that ab kay tery andhyon ka takhmeena

Phir aj dana e gandum kay silsilay main faraz,
kisi khuda nay mery khald bech daly hy

Pukartay rahay mehfooz kashtiyon walay,
main doobta huwa darya k par utar bhi gya

Usay bhi ham nay ganwaya tery khushi k liye,
tuj bhi dekh lia hy aray zamanay ja

Tum takaluf ko bhi ikhlas samajty ho faraz
, dost hota nhy har hath milany wala

Tor in kohna rasoomat kay bandhan warna,
jeetay g mot kay zindan main utar jaye gy

Soch maflooj hy halat kay zindanon main,
aqal pay talkh hawadis kay giran talay hain