Kya kahen phir koi basty ujry,
log kyujn jashm manany niklay
Kis qadar ag barsty hy yahan,
khalq shabnam ko tarasty hy yahan
Khud ujagar karo hunar apna,
doosron ko na kam nazar jano
Jo diye lay kay nikaltay hain faraz,
wo bhi kha jaty hain thokar dekho
Is qadar khof hy ab shehr ki galyon main kay log,
chap suntay hain to lag jatay hain dewar ka sath
Is dor e be janun ki kahani koi likho, jismon ko barf,
khoon ko pani koi likho
Har ghar ka diya gul na karo tum kay najanay,
kis bam say khursheed e qayamat nikal aye
Laga kay zakhm badan par qabayen deta hy,
ye shehr e yaar bhi kya kya sazayen deta hy
Lutnay walay say yun gurez na kar,
kya khabr wo tuj dua he day
Main khud ko bhool chuka tha magar jahan waly,
udas chor gaye ayena dikha k muj
Main shab ka bhi mujrim tha sehr ka bhi gunahgar,
logo muj is shehr kay adab sikha do