
Dost ban kr bhi nahi sath nibhany wala,
wahi andaz hy zalim ka zamany wala

Faraz tu nay usay mushkilon main dal diya,
zamana sahb e zar aur sirf shayer tu

Fasaly qurb kay shulon ko hawa dety hain,
main tery shehr say door aur tu mery dhyan main hy

G main jo aty hy kar guzro kahi aisa na ho,
kal pasheman hon ka kyu dil ka kaha mana nahi

Dil garifta he sahy bazam sajali jaye,
yad e janan say koi sham no khali jaye

Dil bhi pagal hy k us shakhs say wabasta hy,
jo kisi aur ka honay day na apna rakhay

Dhoond ujray huwy logon main wafa k moty,
ye khazany tuj mumkin hy khrabon main milen

Dardmandan mohabat to hain badnam fraz,
warna kuch kuch to ye hasen log bhi deewany hain