
Hamesha kay liye muj say bichar ja,
ye manzar barha dekha na jaye

Hamary pas bhi betho bas itna chahtay hai,
hamary sath tabeyat agar tumhary lagay

Ham yahan bhi nahi hain khush lakin,
apni mehfil say mat nikal hamen

Ham ko acha nahi lagta koi hamnam tera,
koi tuj sa ho to phir nam bhi tuj sa rakhay

Ghar jala kr na ro mohabat main,
ye to hota hy khanman abad

Dil na mana k kisy aur ky rastay pay chalen,
lakh gumrah huwy naqsh e qadam say apnay

Dil nay zara say gham ko qayamat bana diya,
warna wo ankh itny zayada khafa na thy

Dolat e dard ko dunya say chupa kar rakhna,
ankh main boond na ho dil main samandar rakhna