
Jis tarha badil ka saya pyas bharkata rahay,
main nay ye alam bhi dekha hy tery tasweer ka

Jis simt bhi dekhu nazar ata hy k tum ho,
aye jan e jahan ye koi tum sa hy k tum ho

Ishq ik koh garan tha pehly,
ab mohobat k wo adab kahan

Isy khyal sy har zakhm apnay kil pay saha,
k tuj ko gardish e ayam ki hawa na lagay

Jab talak dor hy to tery parastish kar lain,
ham jisy choo na saken us ko khuda kehtay hain

Janay do din ki mohabat main ye behkay huwy log,
kesy afsany bana lety hain dildaron kay

Janay waly ko na roko k bharam reh jaye ga,
tum pukaro bhi to kab us ko thehr jana hy

Jis kay chehray p mery ankhen hain,
wo muj taan e kam nigahy dy